Monday, November 9, 2009

Kabhi Kabhi...




Kabhi kabhi, tanha akele
Yaad teri aise yun aaye
Mujhse khafaa... mujhse judaa kyun?
Dard-e-dil tujhko hi chahey.

Tujhko hi chaahey
Tujhko pukaarey
Bin tere sajhna
Ji kaise paayein

Aankhon mein, tere sapne liye hain
Baahon mein tujhko hi bharein hain
Kash main yun sapne na phirota
Aaj yun main tanha na hota...

Dhadkane kyun tujhse juda hain
Saanse bhi kyun thamsi gayi hain
Bheegi si kyun Aankhein hain harpal
Jaane mujhko kya ho rahaa hai..

Thursday, November 5, 2009

Dil Ki Pukaar



Mere dil ki tu hai pukaar
Dil ki dhadkan dil ka karaar
Jaane jaan....... Jaana

Saansoo mein, har pal hai tu
Batoon mein, tu hi tu hai
Jaane jaan...... Jaana

Yaad tumhari
Har pal sataay
Tumko na dekhoon to
Chain na aaye

Tum bin kaise jiya jaaye
Har pal mujhko yoon tadhpaaye
Jaane jaan.......Jaana